Wednesday, 25 January 2017

Ajaadi

Aaj neta bolega Abhineta bolega... 
Har koi aaj apna muh kholega.... 
Vande mataram k naare honge har taraf.... 
Shaheedo ki yaad me naare lagenge har taraf....
Or aaj hi Neta bhi bhul jayega...
Abhineta bhi bhul jayega....
Aaj hi hindustan wapas ghulami ki taraf Ek or baar badh jaega....
Aaj hi mera hindustan corruption ki or Firse badh jaega....
Main or har ek hindustani... 
Us azadi ki talash me aj bhi hai....
Jab mera hindustan bhagat singh Chandrashekar Azad Or Rajuguru k sapno wala hindustan banega...
Na jane kab mera hindustan Is corruption ki ghulami se.. 
Is netagiri ki ghulami se Azad ho Khule aasman me apne par kholega...
Aisa hindustan banane ki liye.... 
Na neta bolega Na abhineta bolega...
Har koi bus apni lok priyata badha Kinare ho lega...
Sapna hi reh jaega shayad ye..
Jab mera hindustan In sab se azad ho.... 
Humare Shaheedo k sapno ko.... Haqeeqat me sanjo lega....
Jai hind!

No comments:

Post a Comment